DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NIKAH , DAY : 267,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Ek Din(One Day) ke safar ka koi Aurat Iradah kare to wo Baghair Mahram ke Safar Nahi karsakti hai.
(Vol/1,H,No :1203),
Dars : Islam me Aurat ko Baghair Mahram(Wo log Jinse us ladki ka Nikah Hamesha keliye HARAM hota ho, jaise..Walid,Bhai,Mama,Chacha,etc..ye log ya us ladki ka Shohar ho to unke saath Safar karsakti hai,Warna Safar ki ijazat Nahi hai,
Hajj aur Umrah ka Hukm ?
■■ Hanafi Maslak me Aurat Shohar aur Baghair Mahram ke Hajj aur Umrah bhi Nahi karsakti hai,kyu ke Unke liye Sabeel yani Hajj me Raasteh ki sahoolat hona shart hai,to yaha Wo Shart Nahi payi jarahi hai,lehaza unke baghair Ye safar ki bhi ijazat Nahi hai,agar wo doosre Qafileh ke saath bhi ho to ijazat Nahi hai,
●● Maslak e Sahfayi me agar Raasteh me Aman ho aur wo Aurat koi Qafileh ke saath ho to Hajj aur Umrah karne ki ijazat hai,aur Yahi Maslak e Maliki me bhi hai,
Note : Haan,Zaroorat ke tahet agar Aurat Bazar se kuch khareedna hoto Waqt e zaroorat jakar aane ki ijazat hai,agar yaha per bhi Saath me koi ho to Ziyadah Behter hai,Us se wo Fitno se mahfooz rahsakti hai.
Allah sab ke Aqlo aur Nek Aamal ki Hifazat kare..ameen.

Plz..Share it to All,For more islamic services Visit our web site..: anwaarulislam,com.

You might also like