DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : AHKAAM , DAY : 281,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Hakim Koshish karke koi Faislah kare aur wo faislah Sahi Sabit hojaye to usko 2 Ajar Milenge,aur Agar wo faislah Sahi sabit Na bhi ho to usko 1 Ajar milega.
(Vol/1,H,No :1376),
Dars :Hakim ki Koshish Quran,Hadees,Ijma’eUmmat aur Qiyas(Wo Fikar wa Nazar jo Quran wa Hadees ki roushni me ho..) ki Raushni me ho to wo Faislah Haq sabit hone per 2 Ajar aur Ghair Munasib sabit hone per 1 ajar milega,
ye 1 Ajar isliye milta hai,kyu ke wo Deeni wa islami,Samaji wa Moasharati Masaayil ke Hal karne keliye koshish kiya hai,to ye koshish karne ka Ajar hai,
■■ Jo In 4 Cheezo ke Baghair Faislah karta hai,to usko kisi qisam ka Ajar Nahi milta hai,
●● Is se ye Sabit hota hai,ke jo Bandah Islami Ahkamaat ki rauhni me zindagi guzarta hai,to kabhi bhi Noqsan me Nahi hota hai,
Baaz Log,Sahaba e kiram
(raziyallahuanhumajmayeen) me se kisi sahabi ke faislah se unhe Bura bhala kahte hai,ye sahi Nahi hai,Hume kisi qisam ka Haq nahi milta,ke hum kisi sahabi e Rasool ko BuraBhala kahe,Usko Allah per chod dena chahiye, ye Amal hamari Dunya wa Deen dono ko Tabah wa barbad kardeta hai.
Allah hame ittehad,aur Hikmat Naseeb kare..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like