DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 313,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne Chandi ki Anghoti(Silver ring) Banvayi phir usper محمد رسول الله ka Naqsha lagvaya aur farmaya ke : Tum Anghoti per Naqsh na lagvavo.
(Vol/2,H,no :1849),
Dars : Aap Sallallahualihwasallam ne jo Naqsh lagvaya tha wo Bature Khatm(Stamp) bhi istemal kiya jata tha,aur Khtoot wa Rasaayil per aap wahi khatm lagaya karte to isme farq hone keliye is tarah ke Naqsh se aapne mana farmaya hai,
■■ Agar koi La Ialaha ilallah etc..ka Naqsh lagaye to uska Ehteram karna bhi lazim hai,ke Toilet me jate waqt usko utar dena chahiye warna Be Adabi Lazim ayegi,
●● Baghair Naqsh wali Anghoti lagana ziyadah behter hai.

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like