DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 323,

Hazrat Abu Maleeh apne Walide Mohtaram(raziyallahuanhuma) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Bhediyo ke Jild(skin) per Baithne(sitting) se Mana farmaya hai.
(Vol/2,H,No : 1879),
Dars : Bhediyo se Murad Wo Saare Janwar jo Khunkhwaar,Hamlah Awar,jaise Sher(Tiger),Babbar(Lion),Reech,etc, hain,Inke Chamdeh(skin) per Baithna Islam me Mana hai,
Kyu ? Kyu ke Ulama e Kram ne farmaya : Bhediyo ke Chamdo per Baithna “TAKABBUR” Ki Alamat hai,Aur Takabbur se islam me Roka gaya hai,
Baaz log Sher(tiger) ke Chamdeh pe Baithne ko Badi Fakhr ki Baat samajhte hain,jo ke Islami Taleemat ke Bilkul Khilaf hai,
■■ Halal Janwaro ke Chamdeh(skin) Bakrah,Potlah,Hiran,Wunt(camel),etc ke chamdo per Baithne(sitting) ki ijazat hai,kyu ke in per Baithne se Takabbur ka shaibah bhi Nahi hota hai,aur Unme Kayi Faideh bhi hote hain,Jin me se Baaz :
●● Badan me Thandak Aati hai,
●● Bawaseer ka Marz door hota hai,
●● Zahni Sukoon Naseeb hota hai,
●● Padhte huve us per Baithe to Zahen ki tezi(sharpness) me izafah hota hai,
●● Stress Door hota hai,etc…
Allah hame islami taleemat ko samajh kar Amal karne ki Taufeeq ata farmaye..Ameen.

Plz..Share it to all,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like