DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : LIBAS , DAY : 330,

 

Hazrat Abdullah Bin Buraidah,apne Walide Mohtram se rivayat kiye (raziyallahuanh),kaha,
Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) ki Bargah me ek Shaks aya uske Haath me Lohe ki Anghoti thi to Aapne farmaya :Tumhare paas Jahannamiyo ke zewar kaise dekh raha hoon ?!
To wo shaks Chale gaye phir aye to aapke Haath me Peetal ki anghoti thi to apne farmaya : Tumhare Paas Se mujhe Buto ki Boo(smell) arahi hai ?!
To wo chale gaye phir aye to aapke Haath me Sone ki Anghoti(Gold Ring) thi to apne farmaya : Mai tumhare paas Jannatiyo ka Zewar dekh raha hoon ?!(Wo Jannat me hi pahen na hai,dunya me Nahi) to us shaks ne Kaha ke Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Aap hi bata de ke Mai..Kounsi Anghoti Pahna karoon to aapne Farmaya : Chandi ki Anghoti
(Silver Ring) Pahna karo aur Ek Misqal se ziyadah Nahi honi chajiye.
(Vol/2,H,No :1897),
Dars :Islam me Lohe,Peetal,Tamba aur Sone ki Anghoti Mard keliye Pahen ne ki Ijazat Nahi hai,
Haan,Chandi ki Anghoti Jo ke 2.1/2 (Dhai Masha Silver) tak ki pahen ne ki ijazat hai.
Allah hame islami Ahkam Sahi samajh kar Amal ki taufeeq ata kare..ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like