DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 331,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne Us Dastarkhan pe kabhi Nahi khana tanavul farmaye Jis per Kayi Qisam ke Salan aur Rotiya Rakhi gayi ho,to Aapne kaha Maine Hazrat Qatadah(raziyallahuanhu) se sawal kiya ke to phir kaunse dastarkhan per aap khana tanavul farmate ? To farmaya : Aap Chamdeh(skin) ke Saadhe Dastarkhan per Khana Tanavul farmate.
(Vol/2,H,No :1900),
Dars : Qurban jaye Hamare Aaqa e Do Jahan
(sallallahualihwasallam) ki ada per ke Jo Zameen wa aasaman ke khazaneh k kunjiya(keys) apne haath me rakhte huve bhi Saari zindagi saadhe Dastarkhan per Aksar Roti aur Sattu(ek qisam ka khana jo Aate,Ghee aur Namak se banaya jata hai) per guzardi..!!!
Allahu Akbar Kabeera …
●● Agar Musalman Khane me Aysi Saadgi ki Aadat daal le to Insha Allah
*NIKAH AASAN HOJAYEGA AUR ZINA MUSHKIL*,
■■ Achi Ghiza wa Khana ka istemal bura Nahi hai,Lekin uski bhi ek Haysiyat wa miqdar hoti hai,Apni Hysiyat wa Miqdar ka lehaz rakhe to behter hoga,
☆☆ Agar Musalman aaj jitna Paisa Shadiyo aur Doosre Functions me khaas kar khane me Kharch kar rahe hai,Shadi wa doosri Taqareeb ko Saadgi se karke Wahi Paise Hamari Naslo ke Taleem me lagaye to Wo Din Door Nahi ke Hamare Har Ghar me insha Allah Har Fan wale yani ,ULAMA,HFFAZ,Doctor,IPS,I.A.S etc.. Mahireen paida honge,
■■Yaad rahe ke ; *Wo Qaum Kabhi Taraqqi Nahi karsakti hai,Jo Apni Zindagi ke Sarmayah(kamayi) ka ziyadah Hissah Zahen ke Sanwarne ke Alawah Badan ke Sanwarne me Kharch karti hai*,
Lehaza Dosto,Ab Waqt Aagaya hai,ke Hum Apne Bacho ki Shadiyo me Nahi Balke Unki Taleem me paisa kharch kare to Sab keliye Faidah hoga.Insha Allah.
Allah hame Saadgi ki zidagi Naseeb farma.Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like