DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 336,

Hazrat Maimoonah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Ek din Chuha(Rat) Ghee me Girgaya tha,to Nabi e Akram

(Sallallahualihiwasallam) se uske(Ghee) khane ke bare me sawal kiya gaya to aapne farmaya : Jaha Ghee me chuha gira ho to uske Atraaf ke Hisseh ka Ghee nikal kar phenkdo phir usko khalo .
(Vol/2,H,No :1911),
Dars : Ye hukm us waqt hai,jabke Ghee ki miqdar bhi ziyadah ho jaise Ghee ek Bariyal ya Tank etc..me ho aur chuha girjaye to phir uske atraf ke hisseh ka Ghee nikalna hoga aur baaqi Ghee ko istemal karsakte hain,
■■ Agar ghee kisi choti se Bartan ya Khatori me ho aur chuha(rat,Mouse) girjaye to ab uski miqdar thodi si hoti hai,lehaza us saare ghee ko Khana Nahi chahiye Balke Chiragh(lamp) ya kisi machine me use karsakte hain,
●● Chuha gire huve Ghee ko istemal karne ke Hukm dene me Hikmat ye hai,ke *Deen e islam cheezo Sahi istemal karne ki taleem deta hai,Aur KaarAamad cheezo ko Be fuzool aur Na karah karne se rokta hai* ,Yahi wajah hai,ke aaj bhi kayi log islami taleemat se mutassir hokar islam me dakhil horahe hain,aur insha Allah hote rahenge…
Allah hame islam per Sabit Qadam rakhne ki taufeeq ata kare…Ameen.

Plz..Share it to All,For more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like