DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 337,

Hazrat Abdullah Ibne Umer
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(Sallallahualihwasallam) ne farmaya :Jab Tum me se khayeto koi Apne Baye Haath(Left Hand) se Na Khaye(eating) aur Na piye(drinking),Kyu ke Shaitan Bhi Apne Baye Haath se khata hai,aur Baye Haath se hi pita hai.
(Vol/2,H,No :1912),
Dars : Jab Khana khate rahe to Seedhe Haath khana khaye aur Baye Haath se Paani hai,kyu ke Ab to Seedha haath khane ki cheezo se makhloot rahta hai,agar usi haath se Paani ka glass pakde to khane ki cheeze Glass ko lag jayingi,aur Glass ko dhona padhega,
Haan,Agar Sirf Paani,Juice ya cooldrinks hi pirahe ho,Glass se ho Bottle se to ab unko Seedhe Haath se hi pina hai,warna Sunnat ki khilaf warzi lazim ayegi,
●● Khana(Meals) Haath se Kharahe ho ye Chamach(spoon) se kharahe ho har soorat me Seedhe Haath se hi khana hai,
Aur Baith kar khana hai,
■■ Shaitan ka Baye Haath se khana ? !!
Ulama e Kiram ne farmaya hai,Uska matlab ye hai,ke : Baye Haath se Khane aur Peene se Khane aur Paani se Barkat khatam hojati hai,aur wo Ibadat se Lazzat aur Badan se Taqat khodeta hai,aur is se shaitan ko Masarrat(khushi) Naseeb hoti hai,
☆☆ Ek Qaul ye bhi hai,keHosakta hai,ke Haqeeqat me shaitan baye haath se khata hai,to ek musalman ko shaitan ke Amal se bachna hai,aur Allah Rahman ko razi karna hai,
Allah hame Deeni Taleemat per Amal karne ki taufeeq ata kare…Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like