DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 348,

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne Mujassamah janwar ka gosht khane,aur Jallalah janwar ka doodh(milk) peene aur Mishkeezeh ke Mooh(mouth) se paani peene se Mana farmaya hai.
(Vol/2,H,No :1940),
Dars : Mujassamah ? WO Janwar jaise Wunt,Gay,Bakra etc,jisko Baandha jaye phir pattharo se maar kar usko maar diya jaye ,Qadeem zamaneh me Baaz log aysa kiya karte the,to ayse janwar ka gosht khane se mana kiya gaya hai,
●● Jallallah ?
Wo Janwar jo Gandagi khane ka aadi hojaye to ayse janwar ka Doodh aur wk doosri hadees me uska gosht bhi khane se mana kiya gaya hai,to Baaz ulama e kiram ne iska Hal ye bataya hai,ke :
Ayse janwar jo Gandagi khane ki adat bana le to ayse janwaro ko jumlah 40 din Uski nasli ke janwar jo ghiza jaise Ghas,Patte,etc..khate ho to wo khilaye to phir 40 din baad us janwar ke gosht aur Doodh istemal karne ki ijazat hai,to Baaz ulama ne 8 din kaha hai,aur baaz 3 din bhi kahe hain,Lekin 40 din ka qaul ziyadah munasib hai,
■■ Mushkeezeh ke mooh(mouth) se paani isliye Nahi peena hai,kyu ke us se paani peene se pata nahi chalta hai,ke uske ander kounsi cheez hai,jaise keedah etc..bhi hosakta hai,baghair dekhe paani piye aur koi keedah rahe to noqsan hota hai,lehaza paani ko Glass me daal kar piye to ziyadah behter hoga,
Allah hame Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like