DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 349

Hazrat Zahdam Jarmi(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Hazrat Abu Moosa(raziyallahuanhu) se Mulaqat keliye gaya tha to aap Murgh ka Gosht (chicken) kha rahe the to aapne Kaha,Ajavo aap bhi hamare saath khane me Murgh ka gosht khalo kyu ke maine Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ko Murgh ka gosht Tanavul farmate huve dekha hai.
(Vol/2,H,No :1942),
Dars : Deen e islam me Murgh wa Murghi ka gosht khane ki ijazat hai,Shart ye hai,ke usko Allah ke Naam se Zubah kiya jaye,
●● Ghair Muslimo(Hindu,etc..) ke Chicken Shop se Chicken Nahi khareedna chahiye kyu ke wo Allah ke Naam se Murgh zubah Nahi karte hai,aur ye Gosht Haram hojata hai,to Khud per aur Gharwalo per is haram Gosht ke Bohat Bure Asaraat hote hain,
lehaza Mehnat ki kamayi Se Gosht ko Halal hi rakhna ho to Kisi Musalman ki Dukan se hi chicken khareedna chahiye,
Baaz Ghair muslim kisi musalman se zubah karvaye to usko khareed sakte hai,lekin Ab wo log itna khayal Nahi rakh rahe hai,unki dukan se Na hi khareede to bohat behter hai,
■■ Murghi kisi Ghareeb ko Sadqah karne ki ijazat hai,
●● * MURGHI WAAR KE PHENKNA* ?
Baaz Log kahte hai,ke Museebate door hona hai,to Ghar ke kisi fard per se Murghi Waar ke(Phere dekar) Us murghi ko phenkna yani Chodna chahiye kahte hain ??!!
Yaad rahe Deene Islam Murghi ko Halal karke khane ya usko kisi Miskeen ya ghareeb ko Sadqah karne ka hukm deta hai,usko Waarne ya Phenkne ki ijazat Nahi deta hai,us Amal ka islami Taleemat se koi Ta’alluq hi Nahi hai,
Allah Nek Amal ki taufeeq Ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like