DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : PEENE KE AHKAM,DAY : 363,

Hazrat Abdullah ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Har Nasha Wali Cheez Sharab hoti hai,aur Har Nasha wali Cheez Haram hoti hai,Jo Shaks Dunya me Sharab peeta hai,aur Usi Sharab ki Adat per hi uska inteqal hojaye to Wo Aakhirat me Jannat ki Sharab Nahi piyega.

(Vol/2,H,No :1981),
Dars :Yani Dunya me Sharab peene wale ko Jannat Nahi milegi kyu ke usne Allah ke Hukm ki Na farmani ki hai,
Isiliye wo Akhirat me Sharab nahi pee sakta hai,Jabke akhirat me to sharab sirf Jannat me hi hoti hai,aur Jannat ki Sharab dunya ki Sharab ki tarah Nahi hoti hai,Balke wo Bohat Umdah wa Nafees hoti hai,
Sharabi ke Ghar se Allah Barkat khatam kardeta hai,aur uski Sehat bhi khatam hojati hai,aur Wo Shaks Logo me Zaleel hota hai,aur Uski Awalaad ko log Sharabi ki Awlaad ke Naam se Jaante hai..!!!
●● Jo Bhi Cheez ho agar usme Nasha paida karne wali cheez milayi jai,jaise Alcohol etc..hai,to in cheezo ko istemal karna Deen e Islam me Haram hai,agarche ke Un Cheezo ke Naam badal kar kyu na rakhe ho magar wo Cheez Nasha ki wajah se Haram hojati hai.
Allah Sharabiyo ko Taubah ki taufeeq Naseeb kare…Ameen.
Plz…Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like