DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : PEENE KE AHKAM,DAY : 367,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jab Paani(water) Piya karo to 3 Saanso me Piya karo aysa karne Paani Khushgawar aur Sairab karne Wala hoga.
(Vol/2,H,No :2004),
Dars : Dunya ki Azeem Nemato me se Ek Nemat Paani(Water) hai,Jisko Allah ne Baaz Mulko me Wafir Miqdar me rakha hai,to Isko Peeni ke Adab me ye hadees e paak hai,Jiski Qadar Sab ko karna hai,
■■ 3 Saans me Paani Peene ka matlab ye hai,ke Glass Se Jab Paani pee rahe ho to Us Poore Glass ke paani ko 3 Baar me Peena hai,Na ke ek Saath hi poora paani piye,
3 Saans me Ya 3 Baar me Paani peene se wo Piya jane wala Paani Badan ke Jis moqam per zaroorat ho waha Chala jata hai,aur badan ko rahat bhi Naseeb hoti hai,aur Zuban ko Paani ka Mazah bhi Hasil hojata hai,aur Paani ki Lazzat ka milna hi Ahem Nemat hai.
Allah hame Amal ki taufeeq de..Ameen.
Plz…Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like