DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : PEENE KE AHKAM,DAY : 366,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram(Sallallahualihiwasallam) ne Ek Shaks ko Khade hokar(By Standing) Paani peene se Mana farmaya to us shaks ne sawal kiya ke :To phir Khane ka kiya hukm hai ?

To aapne farmaya :Khana khade Hokar khana wo aur Bhi ziyadah Sakhti se Mana hai.
(Vol/2,H,No :1999),
Dars : Khade hokar Khane aur Peene se Mana kiya gaya hai,kyu ke aysa karne se insaan ki Sharafat aur uski Sehat per farq padta hai,aur usko Noqsanaat bhi hote hai,
Aaj kal Khade hokar khane aur peene ko hi fasion aur Style ka Naam de rahe hain,jo ke Sahi Nahi hai,ye Islami wa Insaani Akhlaaq ke khilaf hai,
●● Haan,Majboori aur Beemari ki Soorat me khade hokar khane aur Peene ki ijazat di gayi hai,warna uski ijazat Nahi hai.
Allah hame Sunnat ke muwafaq zindagi guzarne ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like