DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : PEENE KE AHKAM, DAY : 368,

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam)

ne Jo Mishkeezah(Jisme Paani rakha karte hai,Like a water Bottle) Band(closed) ho aur Usme Paani ho to Band mishkeezeh ko Mooh(Mouth) laga kar paani peene se Mana farmaye hain.
(Vol/2,H,No :2011),
Dars : Band Mishkeezeh ko mooh(mouth) lagakar paani peene se isliye Mana kiya gaya hai,ke Us tarah paani peene se Pata Nahi hota hai,ke us paani me koi Keeda ya kachra gira huva ho,ya wo paani kharab ho chuka ho,kyu ke mishkeezah Kapde ke huva karte hain,jab kuch paani ke baare me pata Na ho to us Paani ke peene se Noqsan hota hai,
Lehaza Paani Glass me daal kar Aur Paani dekh kar peene ka Hukm diya gaya hai,ta ke Bando ko Noqsan Na pahonche,
■■ Ye Deen e islam ki Hikmat hai,ke Momin Bandah har Haal me Chawkanna wa hoshiyar rahe,Ghafil rahna Momin ki Shan Nahi hai,ab hum apna tajziyah khud bhi karle sakte hain,
Allah hame Hikmat wa Zakawat Naseeb kare…Ameen.
Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like