DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY :380

Hazrat Baraa ibne Aazib(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Khala ka Murtabah Maa ke Barabar hai.
(Vol/2,Hadees No :2026),
Dars :Yani Maa ki jis tarah Tazeem wa izzat kijati hai,usi tarah Khala ki bhi tazeem wa izzat karna hai,chahe Maa Ba hayat rahe ya Na rahe har Halat me Khala ka ehteram karna hai,
●● Khala Bhi apne Dil me apne Bahen ki awlaaad keliye Gahri mohabbat rakhti hai,magar wo zahir nahi karti hai,lehaza jab kabhi khala ghusseh me Daante to bura Nahi maan na chahiye,
Bohat se log choti choti Baato ki wajah se Khala se kayi dino se baat karna band kardete hain,to inhe chahiye ke aaj hi wo unse Maafi maange aur Baat karna shuru karde kyu ke jab wo Maa ke darjeh ke barabar hai,to uski Na Raazgi me Allah ki bhi Na Raazgi hoti hai,
■■ Ye Baat bhi zahen me rakhe ke : Khalah ki Ladki se Khala zaad bhai ka Nikah aur Khala ke ladke se khala zaad Bahen ka Nikah Halal hota hai,wo dono apas me Nikan karsakte hain,
Allah hame Rishto ki Hifazat karne wala banaye…Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like