NAMAZ E WITR KA TARIQAH(SALAT UL WITR)

Namaz e Witr Maslak e Hanafi ke Etebar se jumlah 3 Rakaat hain,jo ek salam se ada ki jati hai,

Namaz e Witr padhna Mard wa Aurat dono per wajib hai,aur ye isha ki Namaz ke baad hi padh sakte  hai,isha ki Namaz se pahle pahde to witr ada hi Nahi hoti hai,witr ki Teesri Rakaat me Ruku se Pahle Dua e Qunoot padhna wajib hai,

 

Witr ki Namaz ka Tariqah : Niyyat is tarah kare ke : AAJ MAI WITR KI 3 RAKAAT WAJIB NAMAZ PADHTA HOON,MOOH ME MERA KABA SHAREEF KE WAASTEH ALLAH KE,Phir Allahu Akber kah kar Dono Haath Kaano tak Utha kar Naaf ke Neeche Haath Bandh le

  • Sana padhe,

Awuzu billahi Minash shaitanir Rajeem,Bismillahir Rahmanir Raheem,

  • Surah Fateha Padhe ,phir Zammah Surah yani jo surah Yaad ho wo padhe lekin Sunnat ye hai,ke Pahli Rakat me Surah Aala,Doosri Rakat me Surah Kafiroon,Teesri Rakat me Surah Ikhlas(Qul hullahu Ahad…) padhna hai,agar ye yaad na ho to jo Yaad ho wahi sureh padhe to behter hai,
  • Doosri Rakat bhi Sureh Fateha wa Zammah Surah pahde aur Ruku wa Sajdah karke Pahla Qadah kare jisme Attahiyyatu aur Kalimah me SHAHADT ki Ungli utha kar Teesri Rakat keliye khade hojaye,
  • Teesri Rakat me Surah Fateha,Zammah surah padhe phir ALLAHU AKBAR kah kar dono Haath Kaano tak Utha kar phir se Dono Haatho ko Naaf ke Neeche  Bandhle,Ab yaha Dua e Qunoot padhe,

“Allahumma Inna Nasta’inuka Wa Nastaghfiruka Wa Nu’Minu Beka Wana Tawwakkalu Alaika Wanusni Alaikal Khair Wa Nashkuruka Walaa Nakfuruka Wa Nakhla’u Wanatruku Mayyaf Juruka. Allahumma iyyaka na’budu Walaka Nusalli Wanasjudu Wa ilaka Nas’aa Wanahfidu Wanarju Rahamataka Wa Nakhsha Azaabaka inna Azaabaka BilKuffari Mulhiq”.

Dua e Qunoot padh kar Allahu Akbar kah kar Ruku me jaye aur sajdah ke baad Qadah me Attahiyyat,Durood e shareef aur dua e masoorah padh kar Salam pher de to Namaz e witr Mukammal hojati hai,

Note : Agar kisi shaks ko Dua e qunoot Yaad na hoto us bandeh ko Jald se jald Dua e Qunoot yaad karleni chahiye warna Qiyamat me uski pooch hogi,kyu ke Allah ne usko Zahen aur waqt dono ata kiya tha ab usko yaad na karna Bandeh ki ghalati hai,

jab tak yaad ho us waqt tak jo Dua yaad ho usko padhe jaise…

RABBANA AATINA FID DUNYA HASANATAN WA FIL AAKHIRATI HASANATAN WA QINA AZABAN NAAR padhe ye bhi yaad na hoto kam se kam  33 Baar Subhana Allah padhe,

  • Agar koi Dua e Qunoot padhna Bhool jaye to wo Teesre qadah me sajdah sahu karle to Namaz hojayegi,aur agar Teesri Rakat me dua e qunoot keliye Allahu Akbar kah kar Haath bandhna bhool jaye yani Takbeer Na kahe aur Dua e Qunoot padhle to us se bhi sajdah e sahu wajib hojata hai,kyu ke takbeer kahna bhi wajib hai,
  • Ramazan me Namaz e witr Jamat ke saath padhne ki Ijazat digayi hai,baaqi dino me uski ijazat Nahi hai.
  • Namaz e witr Agar Raat me Nahi padh sake to Fajar ke waqt se pahle bhi usko padh sakte hai,yani Tahajjud ke waqt bhi usko padh le to ada hojati hai,
  • Namaz e witr ki Qaza karna Nahi hai,yani uske Choot jane per qaza karna wajib Nahi hai,balke Taubah karna hoga.etc..

Written By :

Mufti Rahmatullah Qadri

(Founder Tanzeem Anwaarulislam,india)

for more islamic services plz,,visit our web site..www.anwaarulislam.com

You might also like