DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 482,Hadees No :2165,

 

Hazrat Abu Saeed Khudri (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Wo Shaks Haleem(Burdbar,Sanjeedah) Nahi hosakta Jo Moamalaat per Gahri Nazar Na rakhta ho,aur Wo Shaks Hikmat wala(Hakeem) Nahi hosakta jo TajrubahKaar Na ho.
(Vol/2,Hadees No:2165),
Dars :Yaad rahe ke Burdbari aur Hikmat dono Momin ki Khaas Sifaat me se hai,ek doosre maqam pe kaha gaya hai,ke HIKMAT Momin ka Khoya huva sarmaya hai,jaha bhi wo usko paye to Hasil karle,
●● Haleem(Burbaar) Wo Shaks hota hai,jo Hamesha Sabr wa Tadbeer se kaam leta hai,Har Moamleh ko sanjdeegi se deal karta hai,Na ke Jazbaat se us kaam ko kharab karta hai,balke Hilm wa Sahi fakr se Kaam ko mukammal karta hai,
■■ Hakeem (Hikmat wala) wo hota hai,jo Kayi moamlaat ko deal karke uske faideh aur Noqsanaat se Tajrubah(experience) hasil karke Naye Moamlaat wa Kaamo ke faideh wa noqsanaat per bhi Nazar rakhte huve in kaamo me kamiyabi Hasil karta hai,
○○ Ab Aap hi log Ghaur kare ke Hum Musalmano me ye 2 Sifaat kitne miqdar(quantity) me paye ja rahi hai…???
Ye 2 Sifaat Jis qaum me ajaye wahi qaum har lehaz se har maidan me kamiyabi Hasil karegi warna Shikwah Shikayat ka sahara lekar zindagi guzarni hogi…..!!!
Allah hame Hilm wa Hukmat se Malamaal kare….Ameen.
Plz..Share it to All,for mire visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like