DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 483,Hadees No :2166,

 

Hazrat Jabir Bin Abdullah (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab kisi ko koi Nemat mile to us Nemat ka Badlah de aur us Nemat Tareef kare kyu ke Tareef karna Shukr kahlata hai,aur Nemat ki tareef Na karna Nemat ka Inkar karna kahlata hai,aur jo Apne paas koi Cheez Na ho phir bhi wo us Cheez ko apne paas rahn ko izhar kare to wo Jhoot ka Libas Pahen ne wala hoga.
(Vol/2,Hadees No :2166),
Dars : Nemat me Maal,Awlaad,Sehat etc..sab Shamil hain,jab hame koi Cheez de to wo bhi Nemat hoti hai,to hame bhi unhe baad me ya kabhi bhi koi cheez dena chahiye ye Nemat ka Sahi badlah hoga,ye dena Zaroori Nahi hai,Balke Akhlaqi wali Baat hai,
●● Nemat ka Shukr karne se Nemato aur bhi ziyadah Barkat hoti hai,aur uski Na shukri karne aur Ayb wa Khamiya Nikalne se Barkar bhi khatam hojati hai,aur kufran e Nemat bhi kahlati hai,jis se Allah Naraaz hojate hain,
■■ Jo Hamare Paas ho uska izhar ya tareef kare aur jo Na ho usko kabhi bhi apne Paas rahne ka izhar na kare warna Jhooto me Shumar hoga…
Allah hame Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like