DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 597,Hadees No :2432,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Kiya Tumhe se Behter aur Sab se Bad Tareen shaks ke Bare me Na Batavu ? Is tarah Teen Martabah apne farmaya,to Sahab e Kiram ne kaha zaroor batlayiye;to apne farmaya :Tum se Behtareen Bandah wo hai,jis se Khair ki Umeed ki jaye aur uske Sharr se Aman me rahe,aur Sab se Bad tareen Bandah wo hai,Jis se Khair ki Koi Umeed Na Ki jaye aur Na hi uske Sharr se Mahfooz rahe.
(Vol/2,Hadees No :2432),
Dars : Insaan me Bhalayi ki sifat Bachpan se hi walidain khud bahalyi karte huve dale to marte dum tak wo Bhalayi karne wali sifat baaqi rahti hai,agar walidain ye Na karsake to Acho ke Sohbat me rah kar Neki ki Sifat paida karleni chahiye taake Behtareen logo me shaml hosake warna Bad tareen logo ke zumro me dunya me bhi rahenge aur Akhirat me us se Bura Haal hoga,
■■ To Qiyamat ke qareeb ye Achayi ki sifat khatam hokar sirf Sharr ki sifat hi ziyadah baaqi rah jayegi,aur kisi ke Sharr se Aman me Nahi rahenge to Behter hai,ke khud bhi aur Apni Aane wali Naslo ko bhi Bhala Rahne aur Bhalayi karne me laga de to ziyadah behter hoga,
Allah hame Behter se Behtareen Ban ne ki taufeeq ata kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like