DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAAB(DREAM), DAY : 606,Hadees No :2449,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Apna Khaab Har Kisi ke Saamne Bayan Na karo Balke Kisi Aalim ya Khaab ki Tabeer Jaan ne walo ke saamne hi Bayan karo.
(Vol/2,Hadees No :2449),
Dars : Bandeh ka Har Khaab Tabeer wala Nahi hota hai,Balke Chand khaab hi hote hai,jinki Tabeer hoti hai,ke jo Khaab Bandah Baar Baar dekh raha ho,Ya Ek Hi Baar dekha ho jiske meaning me kuch isharah ho etc…Khaabo ki tabeer hoti hain,Har Khaab ki Nahi,
■■ Apna Khaab Sirf Aalim ya Khaab ki Tabeer jaan ne walo ko batane se sahi Tabeer bhi malum hogi aur masleh ka Hal bhi mil jayega,warna Doosro ke Saamne Batane se wo log Apni La ilmi ki wajah se aur bhi Pareshan kardenge..!!
Aur jo Khaab ki Tabeer batate ho unko Har din dekhe jane wale khaabo ki tabeer bhi na pooche Balke wahi sawal kare jiski zaroorat mahsoos ho.
Allah hame Amal ki taufeeq Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like