DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : Gawahi, DAY : 613,Hadees No :2464,

 

Hazrat Zaid Bin Khalid Juhani (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Behtreen Gawah wo hai,Jo Poochne Se Pahle hi Haq ki Gawahi de.
(Vol/2,Hadees No :2464),
Dars : Deen e islam me jab kisi per Faislah karna ho ya Hukm lagana ho to us me Insaaf ki taleem digayi hai,jis keliye Faisleh ka Ahem rukn gawahi ki badi Ahmiyyat hai,jab gawahi anpe kamil sharait per ho to tab hi faisleh ka hukm hai,baghir suboot wa gawahi ke kisi per faislah Nahi laga sakte hai,
■■ Gawah bhi Sacha aur Nek insaan ho jo Jhoot se hamesha Bachta ho to uski gawahi qubool hogi,jab kisi ke bare me kuch Malum hi na ho to uske Bare me ghair Munasib baate karna jhoot aur Tohmat me shumar hoga,is se Bachna Lazim hai,warna Dayimi Azab me mubtala honge,
Aaj kal ghairo se baghir tahqeeq ke suni sunyai Baato ko ziyadah pahlaya ja raha hai,jaise social media etc..per to aysa karna aur un baato ko share katna jhoot me madad karna lazim ayega is se ehtiyat zaroori hai.
Allah hame jhooti gawahi se mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like