DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : Gawahi, DAY : 614,Hadees No :2467,

 

Hazrat Ayisha Sidiquah (raziyallahuanha),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Dhoka Baaz Mard aur Aurat ki Gawahi Jayiz Nahi hai,aur Jis Mard wa Aurat per Islami Hadd(Punishment) lagi ho aur Apne Bhai se Boghz rakhne wale aur Sirf Tajrubeh keliye Gawahi dene wale aur Ghar Walo per Bakhalat karne wale ki Gawahi Qubool Nahi hoti hai.
(Vol/2,Hadees No :2467),
Dars : Hadees E Paak me un logo ka zikr hai,jinki Gawahi Ahkamaat me Qubool nahi hoti hai,
Kyu ke Dhoka dene wala,jinme Bharosha Baaqi na hoga,Islami Hadd laga huva,Tajrubah karne wala jabke Yaha hukm lagana hota hai,tajrubah Nahi aur Boghz rakhne wala jisme Insaaf ka pahlu khatam hoga,aur Apne ghar walo per sab rakhte huve kharch na karne wala jiske paas rishto ki ahmiyyat na honi ki wajah se bakhalat hogi etc..kahi wujuhaat hain,jinki wajah se Gawahi qubool na hogi,
■■ Nikah me Gawah Rishtehdaar ke alawah koi bhi musalman ban sakta hai,aur Nikah ke gawah sirf unke Aqd ke gawah honge unki Seerat ya doosre Ahkamaat ke Nahi,lehaza jab gunjayish ho to Nek wa Bharosah Mand logo ko gawah banana ziyadah behter hai.
Allah hame Neko me shamil kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like