DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 651,Hadees No :2513,*

 

Hazrat Mutarrif (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Insaan Kahta Rahta hai,Ye Mera Maal Ye Maal,Jabke Uska To Maal Wahi hai,jo Wo Sadqah Diya hai,aur wo Akhirat kaam ayega,Jo Wo Khaya wo Khatam hogaya aur jo wo Pahna hai,wo purana hogaya hai.
(Vol/2,Hadees No :2513),
Dars : Bandah Chahe Jitna bhi Maal jama karle koi Cheez uske saath jane wali Nahi hai,aur Na hi uske Akhirat ke safar ki manzilo me koi Dunya ki Badi Badi Manzile kaam ayengi,Balke Wahi Cheez usko Kaam ayengi jo wo Allah ke Raasteh me kharch kiya hai,aur Ghareebo me Sadqah diya hai,etc..ye cheeze usko Qabar se lekar Hashar tak kaam aur Saath ayengi aur Dunya ki koi Qeemti cheeze uska saath dunya me hi chod dengi,Gadi,Bangla,Moniles..etc..kuch kaam ane wale nahi hain..!!
●● Sadqah me Maal ki Kasrat ki zaroorat Nahi hai,Balke Saaf Niyyat ki zaroorat hai,aur sadqeh dene ke kayi tareeqeh hai,jo Bandeh ko Saari zindagi Sawab wa Ajr Hasil hone ka zariyah bante hain,jaise
Masjid aur Madarseh ki tameer me Hissah lena kyu ke Masjido me Ibadate hoti hai,aur madarso me Ibadat ka saleeqah sikhaya jata hai,Masjide Qiyamatke safar me Kashtiyo ka kaam karti hain,to Madarseh Akhirat ke gahre samander me Pahad bankar sahareh ka kaam karte hai,aur isi tarah Kitabeh jisme Quran aur Hadees etc ki kitabe madarseh me sadqah ya Atyah kare jab tak talib ilm(student) padhta rahega aur logo ka batayega un sabka Sawab isko bhi milega aur isi tarah Masjid ya madarseh ya ghareebo me basti me Borewell ka ehtemam karna aur Ghareeb ladkiyo ki shadiyo aur Taleem me madad karna etc..sab sadqah se ya atyah se karsakte hain,jo Bandeh ko Dunya me Balavo se aur Akhirat me DardNaak azab se mahfooz karta hai.
Note : Ye Baat bhi Zahen me rakhe ke :Koi Ek Maulvi ke Bure Hone se Sab Ulama e kiram aur Madarseh Bure Nahi hojate hai,Aur Har Madarseh ki khidmat karne wala La Char ye Be Bus Nahi hota hai,Balke Wo Deen aur Qaum ki khidmat ki khatir Apni Saari Zindagi Qurban kardeta hai,
Khudara..Unka Saath Nahi de sakte to Kam se kam unka Mazaq bhi Na udaye aur unko Kam Nazri se Na dekhe..!!
Allah hame hamare Maal ko sahi Istemal karne ki taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like