DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 650,Hadees No :2512,*

 

Hazrat Usman Bin Affan (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Insaan ka Chand Cheezo ke alawah kisi per Haq Nahi hota hai,wo ye hai : Ghar Jisme Wo Rahta hai,Kapda Jis se Wo Apne Badan ko dhanpta hai,Roti aur Paani.
(Vol/2,Hadees No :2512),
Dars : Yani Insaan chahe Jitna bhi Maal Jama karle uske saath koi cheez Jane wali nahi hoti hai,sabko dunya me hi Chod kar jana hota hai,aur unka Hisab Akhirat me dena hota hai,
Bus Wo Jisme Raha,aur jo Pahna ho aur jo Khaya ho wahi uski Haqeeqi milkiyat dunya me hongi baad me usko bhi chod kar jana hoga,
Lehaza Dunya me koi cheez Kaam aane wai nahi hai,wahi kaam karna karna chahiye jo Hamari Akhirat ko sanware.
Allah hame 2 jaha me kamiyabi Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more islamic services click here :
www.aanwaarulislam,com.

You might also like