DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 652,Hadees No :2514,*

 

Hazrat Abu Umamah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Aye Insaan Apne Paas Muvjood ziyadah Maal ko(Ghareebo,aur Nek Kaamo me) kharch karde to tere liye behter hai,aur agar tu us maal ko rok kar rakhe to ye Tere Liye Bura hai,baad me Apne Maal ko rokne per Malamat mat kar,aur Kharch karna apne Khandan walo se hi shuru kar,Dene Wala Haat lene wale Haath se Ziyadah Behter hota hai.
(Vol/2,Hadees No :2514),
Dars : Rahne keliye makan,Khane keliye Khana aur Pahen ne keliye kapde ho to yahi insaan keliye kaafi hai,aur is se ziyadah Maal uske liye Ziyadah hi kahlayega,to usko chahiye ke apna Ziyadah Maal kisi ghareeb ki Hajat puri karne me kharch karde,Ya kisi Zaroorat mand ko wo maal dede to uskeliye ziyadah behter hai,
Agar wo Ziyadah Maal ko baghair kisi wajah ke Rok kar rakhega to wo uskeliye bura hoga aur Maal me Barkat bhi khatam hojayegi,
■■ Ghareeb apni zaroorat per hi Maal maangta hai,to uske zaroorat ke waqt hi Maal dena Kamal hai,aur Apni Zaroorat ke waqt jaise Museebat ajaye to museebat tal jane keliye sadqah karna etc..se sadqah to ada hojayega magar ikhlaas baaqi Nahi rahega aur ye Kamal se khali hoga..!!
●● Hamesha Dene ki fikar karni chahiye jo aysi fikar rakhega to Allah bhi usko dene walo me se hi shamil karega aur Uske Maal me mazeed Barkat bhi ata karega,Dene wala Haath Maal ke Saath saath Ikhlaas aur Nek Niyyati se bhi bhara huva hona chahiye jis se Wo Dene ki Jo Barkate hai,usko Kamil Andaz me Hasil karsakega..insha Allah.
Allah hame Dene walo me se banaye..Ameen ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more islamic sarvices click here:
www.anwaarulislam,com.

You might also like