DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 653,Hadees No :2515,*

 

Hazrat Umer Bin Khattab (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Agar Tum Allah per Kamil Tawakkul (Yaqeen) karoge to Tumko Bhi Parindo(Birds) ki tarah Rizq diya jayega jo Subah Khali Pet(Empty Stomuch) Ghar se Nikalte hain,Aur Bhare Pet Ghar Laut te hain.
(Vol/2,Hadees No :2515),
Dars : Insaan Ki Zindagi Maqsad se Bhari huvi hai,jab tak insaan koi Maqsad ya Kisi kaam ka Plan Na banaye to uski zindagi ki koi Ahmiyyat hi Nahi,jab insaan koi Maqsad Bana le aur usko Mukammal karne ki puri koshish karle to ab uske Nateejeh ko Allah ke Supurd karne ka Naam hi Tawakkul hai,koi Asbaab aur Zaraayeh ko ikhtiyar kiye baghair Ghar me hi Baithe rahna Tawakkul Nahi hai,Balke kuch karke Usko Allah per Chodne ka Naam hi Tawakkul hai,jaise Parindeh bhi Rizq keliye khali Pet ghar me hi Nahi rahte hain,Balke Rizq ki talash me ghar se baher nikalte hain..!!phir insaan bhi kuch karke Yaqeen kare to Allah uski Sonch se bhi ziyadah ata karega,insha Allah,
●● Har Insaan ki Zindagi me Kayi koshisho ke Baad Kabhi Khush Haal Lamhe hote hain,to Kabhi Bad Haal Lamhe bhi aate hai,to Bure Haal me Sabr wa Koshish ke Saath Allah se takmeeli aur Madad ki umeed rakhne ka Naam hi tawakkul hai,Mushkil Halaat me Bandah Hamesha Ye Wird karte rahna hai,
حسبي الله ونعم الوكيل فنعم المولي ونعم النصير
” HASBIYALLAHU WA NEMAL WAKEEL FA NEMAL MAULA WA NEMAN NASEER”
Isko kasrat se padhe to Allah ghaib se us bandeh ki Madad farmayega,insha Allah,
■■ Kisi Ne Hazrat Ali(karramallahuwajhahu) se poocha ke tawakkul kiya hai,to aapne farmaya: Ghode(Horse) ko Lagam se Bandh kar Allah se Hifazat ki umeed rakh kar Kaam me mashghool hona tawakkul hai,Ghode ko Lagam bandhe baghir Chod kar Hifazat ki umeed rakhna tawakkul nahi hai,
Allah hame Kamil Tawakkul Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like