DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 663,Hadees No :2528,*

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Meri Ummat ke muslim Miskeen loh Ameero se Aadha Din pahle Jannat me jayenge,aur Waha ka Adha Din 500 Dunya ke Saalo ke Barabar hoga.
(Vol/2,Hadees No :2528),
Dars : Allahu Akbar Kabeera,Akhirat ka Adha Din Dunya ke 500 Saal ke Barabar hota hai,to is se Andazah lagaya jasakta hai,ke Akhirat wali zindagi kitni taveel zindagi hogi aur wahi Hamesha rahni Wali zindagi hai,
■■ Dunya Ki ziyadah se ziyadah guzare jane wale 50 ya 60 Saal ki zindagi ko hi insaan sab kuch samajhne lagta hai,aur usi zindagi ko khush gawar banane keliye Pure zindagi ke qeemti din aur waqt laga deta hai,Baaz to Haram aur Halal me farq kiye baghair Maal kamate aur jama karte hai,Huqooq ko bhool jate hain,Wada ke khilafwarzi,Dhoka Dahi,Jhoot aur loot se dawlat jama karte hai,phir us zindagi ko aur Akhirat ki zindagi per Nazar daale to Dunya ki zindagi Akhirat ke Aadhe Din se bhi kayi Choti hoti hai,
Lehaza agar Bandah is dunya ki choti se zindagi me Kasrat se ibadat karta rahe aur Allah ke Ahkamat ko baja lata rahe to Yahi Aamal usko Akhirat me Dayimi Zindagi hasil hone ka Sabab banenge..insha Allah.
Allah hame Akhirat ki Ahmiyyat ko samajhne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like