DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 662,Hadees No :2526,*

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Aye Allah mujhe Miskeen walo Zindagi aur Miskeeni wali Maut Naseeb farma aur Mujhe Miskeeno ki Jamat me qiyamat ke din jama farma,Ye Sunkar Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) farmayi Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) aysa kyu ? To Apne Farma : Kyu ke Ghareeb Log Ameer Logo se 40 Saal Pahle hi Jannat me jayenge,lehaza Aye Ayisha Kisi Bhi Miskeen ko Khali Haath Na lautavo Khajoor ka Ek Tukda hi kyu na ho wo Miskeen kl dedo,Miskeeno se Mohabbat karo aur Unko Qareeb karo to Allah Tumhe Qiyamat me apne Qareeb karega.
(Vol/2,Hadees No :2526),
Dars : Deen e islam me Taqatwar insaan ko Logo se Maangne ka Nahi Balke Mehnat karke Khud ki Shaksiyat Manwane ka Hukm aya hai,Jo taqat ke Bavajood logo se Maangta hai,to Qiymat me isko DardNaak Azaab diya jayega aur ayse logo ko Sadqah ya Zakat dene se unki Zakat puri Nahi hogi phir se zakat dena hoga,
Haan,Agar Waqayi Kamzor,Lachar aur Be Bus ho to usko Apni Zaroorat puri karne keliye Maangne me koi Haraj Nahi hai,
●● Qiyamat me Nafsa Nafsi ka Alam hoga,Na Baap,Na Maa,Na Bhai Na Bahen aur Na hi koi Dost kisi ka Saath dega..!! Lekin Jo Dunya me Ghareebo ka Saath dega aur unko apne Qareeb karega to Allah qiyamat me unke Saath bhi hoga aur unko apne Qareeb bhi karega,
Allahu Akbar Kbeera..
■■ Ghareebo ko dene keliye Kuch Na bhi to Khamoosh hojana behter hai,Na ke unko Jhidke ya daante warna iski saza mazeed milegi.
Allah hame Ghareebo se mohabbat aur unki Madad karne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like