DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 664,Hadees No :2530,*

 

Hazrat Masrooq (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Ummul Momineen Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se mulaqat ki,to aapne Khane ke Ehtem karne ka hukm kiye phir farmayi ke Maine Kabhi Pet Bhar ke Khana Nahi khaya hai,to maine kaha kyu ? To aap farmayi ke mujhe
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ka wo Haal yaad aata hai,ke aapne Apni Zindagi me Ek hi din 2 Martabah Roti aur Gosht Nahi tanavul farmaye hain.
(Vol/2,Hadees No :2530),
Dars : Qurban Jaye Aaqa e Do Jaha sallallahualihiwasallam ki Sunahri zindagi per ke Allah ne aapko Har Cheez ki qudrat aur Dawlat dene ke bavajood aapni Saadhi aur Ghurbat wali zindagi ka intekhab farmaya aur usme ummat ko bhi ye taleem di ke Dunya me jeene keliye Dunya ke Asbaab Aali Shaan hona zaroori Nahi hai,Balke Dunya ke Asbaab ko Saadhe rakh kar Aala Andaz aur Kamil khushu ke saath Rabb ki Bandagi karna Ahem Baat hai,
■■ Per Bhar kar khane aur Ziyadah khane se insaani Zahen Sust wa kahel hojata hai,aur Badan bhi apni Asli Taqat kho baithta hai,jiske Nateejeh me Khoon ki kami aur Charbi ki ziyadati hoti hai,aur Ibadat aur Ahkamaat per Amal awari me bhi kami ajati hai,Majboori se ya Beemari se..!!
Allah hame Sunnato wali zindagi Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like