DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 669,Hadees No :2537,*

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Apni Hayat e Tayyibah ne kabhi me Mukhtalif Qisam khane wale Dastarkhan per baith kar khana Nahi khaye aur Na hi kabhi Bareek Roti(Rayees log khane wali Roti) ka istemal farmaya.
(Vol/2,Hadees No :2537),
Dars :Qurban jaye Aaqa e Do Jahan sallallahualihiwasallam ki saadgi per ke aap Ke Sadqeh me hi aapki Ummat ko Har cheez mili lekin aapne Saadgi ko apnya,yahi wajah thi ke aapki khane etc..me cheezo me is saadgi ki Barkat se Aalam ka har zarrah aap per qurban hai,aur Usme aapne apni ummat ko Aam khane khane ki bhi taleem farmayi,
■■ Ziyadah Qisam ke lazeez khano ke istemal se Badan me susti aur Zahen me kaheli paida hoti hai,jis se bandah ibadat aur Dunyavi tijarat dono me Na kaam hojata hai,phir badan me charbi ke Badhne se beemariyo ko maskan banjata hai,lehaza Halki ghiza me hi Sehat bhi hai,aur maal me Barkat bhi..
●● Aaj Baaz log Taqareeb aur Dawato me mukhtalif aqsaam ke khano per ziyadah tavajjuh dene ki wajah se hi Hamari Muslim Shadiya mahengi hochuki hain,aur Ladkiya gharo me baithi huvi hai,jo hum sab keliye Takleef aur fikar ki Baat hai,Bus Masleh ke Hal Sadah khane ka istemal hi hai,jis se Nikah ka Maslah insha Allah hal hojayega aur doosre kamo ki taraf bhi tavajjuh hogi.
Allah hame Har Kaam me saadgi Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like