DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 668,Hadees No :2536,*

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Aane Wale Kal keliye Koi Cheez Jama karke Nahi rakha karte.
(Vol/2,Hadees No :2536),
Dars : Yani Future keliye koi Zaroorat wali cheez jaise Maal,Rizq etc aysi cheezo ko aapne jama Nahi farmaya,Kyu ke Rizq Allah dene wala hai,aur wahi uski tarkeeb karta hai,aur Apne Bando ko Rizq ata karta hai,Taake Bandah Rizq ko jama karne ke Bajaye Nek Aamal ko apne Namaeh Aamal me jama karle aur waqt ki hifazat karsake,
■■ Bandeh ko Chahiye ke Aane wale Kal se ziyadah Aaj ke Haal per tawajjuh de aur apna Muhasabah kare to ziyadah behter hoga kyu ke Aksar Bandah Apne Gharwalo ke future ki wajah se apne Present ki khushiyo aur Nek Kaamo aur Halal wa Haram me farq ko bhool jata hai,jiski wajah se wo zindagi ke Aakhiri lamhaat aur akhirat me Na Kaam hota hai.
Allah hame Har Haal me Nek Kaam ki taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like