DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 683,Hadees No :2561,

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram 
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Jis se Mohabbat karta hai,wo usi ke saath hota hai,aur Jo uska Saathi Amal karta hai,to iska bhi Hissah usme hota hai.
(Vol/2,Hadees No :2561),
Dars : Jab Saathi Nek ho to ye Dost bhi uski Neki me madad karega ya uske Saath hoga to Uski Neki ki wajah se isko bhi Sawab ata kiya jayega,aur agar Saathi Bure Kaam me laga ho aur ye shaks uske kaam madad kare ya uske saath bhi rahe to isko bhi uske Bure kaam ki wajah se Gunah me shareek tahraya jayega aur Neki ka Badlah Neki aur Burayi ka badlah Burayi diya jayega,
Lehaza Nek Saathi ka intekhab kare aur ye Nek Saathi Apni BIVI aur Shohar ki Shakal me bhi hote hai,Bus Intekhab sahi ho,Bure Saathi se Bachna bhi Neki hai.
Allah hame Nek Saathi Naseeb kare aur Jinke paas ho to unki Dosti ki Hifazat kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam.com

You might also like