DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

*CHAPTER : QIYAMAT KI SIFAAT, DAY : 717,Hadees No :2612,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din 3 Baar Bando ko pesh kiya jayega to Pahli Baar sab Jhagda karenge,Doosri Baar Maafi Maangenge aur Teesri Baar sab ke seedhe aur Baye Haatho me unke Nama e Aamal diya jayega.
(Vol/2,Hadees No :2612),
Dars : Qiyamat ka Din Bando ke Aamal pesh kiye jane wala din hai,waha Aamal ke pesh karne ke alawah koi Charah Na hoga,Sabko use qubool karna hoga,
●● Ys din Har koi Jhagda karke dunya me jakar Dobarah Nek Kaam karne ko chahega aur mutalabah karega lekin uske us mutalebeh ko radd kiya jayega,phir Baad me Maafi ke zariyeh jana chahega lekin us baat ko bhi qubool na kiya jayega Bus akhir me me uske Haatho me uske Aamal ki kitab thama di jayegi aur Hisab ki Baad uska Badlah diya jayega..
Islami Bhayiyo bus ye dunya hi Amal ka maqam hai,Nek Amal ho to kamiyabi warna Ruswayi Nateejah wazeh hai,lehaza intezar Nahi balke imtehan e Akhirat ki tayyari kare..
Allah hame Akhirat ki tayyari karne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like