DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 723,Hadees No :2619,*

Hazrat Mugheerah Bin Shobah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Pul Sirat Per Momin Bandeh ki Ye Pahchan hoti hai,ke Wo Us waqt Ye kahta rahega ke : رب سلم رب سلم
Aye Allah mujhe Salamat rakh
Aye Allah Mujhe Salamat rakh.
(Vol/2,Hadees No :2619),
Dars : Momin Bandeh ke Aamal ki Ye Barkat hoti hai,ke wo us Nafsa Nafsi ke Aalam me bhi Apne Rabb ko Nahi bhoolta hai,balke us waqt wo Apne Aamal ko Nahi Nahi Balke Rabb ke Fazl ko maangta hai,aur Us Manzil me Salamati ke saath kamiyabi chahta hai,isliye wo Rabb ko yaad karta hai,
●● PUL SIRAT :Ye Qiyamat ki Manzilo me se Ek Manzil hai,wo Ek Aysa Raastah hai,ke Jo Tezz Dhari Daar aur Bohat hi Bareek,etc.. hota hai,jo Kamil Eiman wala aur Nek Hota hai,to wo is Raasteh per Aasani se Guzar jata hai,aur jo Jhootah aur Na farman hota hai,wo Is manzil per se Nahi guzar sakega aur jahannam ka mustahaq hoga..
Allahu Akbar Kabeera..
Allah hame Qiyamat ki Har manzil me kamiyabi Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like