DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 725,Hadees No :2622,*

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Kareem (Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Meri Shafa’at meri Ummat ke gunahgaaro keliye hai.
(Vol/2,Hadees No :2622),
Dars : Qurban jaye Aaqa ke is Raham wa Karam ke andaaz per ke apni Gunahgaar Ummat ko bhi Tanha Nahi chod rahe hai,jabke Badsha wa Rayees log jo ache hote hai,unko apne Qareeb rakhte hai,aur unki hi madad karte hai,lekin Badshaho ke Badsha 2 Aalam ke Sardar ki Shaan hi Nirali hai,ke aap Gunahgaaro ko Door Nahi rakh rahe hai,balke Unko Apni Shafa’at ki Zamanat bhi de rahe hai,
Ab un logo ko chahiye ke jo Gunaho me mubtala hain,Apne Aaqa ki Azmat ki khatir to apne Gunaho se Baaz ajaye aur Mahboob se Mulaqat ki tayyari me lag jaye..
■■ Aur jo Nek Log honge unko ye Sharaf milega ke wo khud bhi Doosre logo ki Shafa’at karenge,jaise Awliya e kiram wa Ulama e izam etc..ye Shafa’at e Shughrah kahlati hai.
Allah ham sabko Gunaho se bachne ki taufeeq ata farma..
Ameen ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like