DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 727,Hadees No :2625,*

Hazrat Abdullah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Suna hai,Rasool e Akram (Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Meri Ummat ke Ek hi Aadmi ki Shafa’at se Qabeelah e Banu Tameem ke logo se ziyadah Gunahgaaro ki Bakhshish hogi,to Raavi ne Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) kiya ye Shafa’at apke Alawah hogi to aapne kaha Haan,Mere Alawah hogi.
(Vol/2,Hadees No :2625),
Dars : Qabeelah Banu Tameem ke log Bohat ziyadah the to unka Shafa’at me zikr karke Kasrat ko batlana Maqsood hai,ke Sirf Ek Nek Aadmi ki Shafa’at se Allah kayi logo ki Bakhshish farmayega,
●● Shafa’at ki 2 Qisme hoti hai,ek Shafa’at e Kubra jo Nabi e Akram (sallallahualihiwasallam) ka khassah hai,aur Doosri Shafa’at e Sughrah jo Ummat ke Har Nek Bandeh ka Hissah hai.
Allah hame Shafa’at se Mala maal kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like