DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 728,Hadees No :2626,*

Hazrat Hasan Basari (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Usman Bin Affan(Raziyallahuanhu) Qiyamat ke Din Qabeelah e Rabeea’h wa Muzar ke Logo ke Barabar Gunahgaaro ki Shafa’at karenge.
(Vol/2,Hadees No :2626),
Dars : Deen e islam Ek aysa Insaaf pasand Mazhab hai,ke Wo Hr Cheez me insaaf ko Chahta hai,yaha tak ke Jab Azmat wa Ehteram ki Baat ho tab bhi Sabko Yahi Hukm deta hai,ke agar tum kisi ko Chaho ya Dil se Izaat wa Ehteram karo to zaroor karo lekin us Doosro ko Neecha aur Haqeer bhi Na jaano,unki Izzat aur Adab apni jagah aur inki izzat wa adab inki jagaha..Sabka Adab wa Ehteram ki taleem deta hai,
Jab Sahab e Kiram ki Baat ho to Har Sahabi e Rasool ka Adab wa Ehteram karna Har Musalman per Zaroori hai,aur Ye Eiman me se hai,
■■ is Hadees e Paak me Shia Hazraat ka Radd hai,wo NawuzuBillah Hazrat Usman Bin Affan(raziyallahuanhu)aur Doosre Khulafa e Rashideen se Bughz rakhte hain,aur unki Shaan me Be Adabi karte hai,jabke unki Shaan me Khud 2 Jahan ke Aaqa ne farma diya to unhe Apni Hat Dharmi chodni chahiye aur Sabki izzat karni chahiye ise me sabki Bhalayi hai.
Allah hame Har sahabi ka Adab wa Ehteram karne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like