ARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 745,Hadees No :2648,*

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Apne Musalleh per tashreef farma huve logo ko dekha to sab bikhre huve the to aapne farmaya : Agar tum Lazzato ko khatam karne wali Cheezo ko kasrat se yaad karte to tumhara ye Haal Na hota lehaza tum Lazzato ko khatam karne wali cheez “MAUT” ko kasrat se yaad kiya karo, Kyu ke Har Ek Paas Ek Wo Din Zaroor ayega ke Qabr Murdeh se kahegi ke Mai Ghurbat,Tanhayi,Mitti aur Keedo wala Ghar hoon,
Jab Koi Nek Bandah ko dafan kiya jata hai,to Qabr kahegi ke Aapka Aana Mubarak ho,aap wahi Pasandeedah logo me se hai,jo Mere Peet per Zameen per Chala karte,aur aaj Aapko mere Supurd kiya gaya hai,ab mera Sulook aapke saath dekhe ,phir wo Qabr Jaha tak Nigah jaye waha tak Kushadah hojati hai,phir usme Jannat ka Darwazah khol diya jata hai,
Aur Agar koi Gunahgaar Bandah ko dafan kiya jata hai, to Qabr kahti hai,ke tera Yaha Aana Mubarak Na ho aur tu Sab se Bad tareen shaks hai,ab dekh mai tere saath kiya karti hoon kahkar Qabr usper is tarah qareeb hojati hai,ke us Murdeh ki Phasliya ek doosre me mil jati hai,
Aap sallallahualihiwallam dono haatho ke ungliyo ko ek doosre me daal kar bataya ke is tarah mil jati hain..!!
Phir us Murdeh ki qabr me 70 ayse Azdahe(saanp) aajate hai,ke agar wo zameen per sirf ek hi Baar Phoonk maar de to Qiyamat tak uske zaher ki wajah se koi Darakht aur Pauda Nahi ugega..!! Aur ye Azdahe usko Qiyamat tak daste aur Nochte rahenge,
Phir aapne farmaya : Qabr Jannat ke Bagho me se Ek Baagh hai,aur ye Jahannam ke Gadho me se Ek Gadha hai.
(Vol/2,Hadees No : 2648),
Dars : *Jo Bandah Nek hojaye to Uske liye Qabr bhi Jannat ka Baagh hojayegi aur Jo Bandah Bura ho to uske liye Qabr bhi Jahannam ka Gadha hogi..!!*
*Ab ye 2 Options me se Bandeh ko intekhab karna hai,ke Qabr ko kiya banaye..*
Allah hame Acha Ban ne aur Acho ke saath rahne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like