DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 744,Hadees No :2647,*

Hazrat Shaddad Bin Aws (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : 
Hoshiyar Wo Shaks hai,jo Apne Aap(Nafs) ka Hisab kare aur Akhirat keliye Tayyari kare,aur Be Bas Wo Shaks hai,jo Apne Nafs aur Khahishat per Chale aur Allah se khair ki Tamannah rakhe.
(Vol/2,Hadees No :2647),
Dars : *Jo Bandah Apne Nafs ke Raasteh ko Chod kar Allah ke Raasteh ko apnaye,Jaise Nafs kahe logo ko Dhoka dekar aur Bewaqoof bana kar Paise jama karle lekin Allah ka Raastah Mehnat aur Mashaqqat se Paise kamane ki taraf rahnumayi kare to bandah Seedhe Raasteh ko apnayega to wahi Haqeeqi Hoshiyar kah layega,*
*Afsos ke wo Dunya walo ke saamne Majboor aur Pagal Nazar aye koi Farq Nahi padega,kyu ke Bure log Burayi ko Acha kahne se Wo Achayi Nahi Ban jati hai,*
■■ *Jo Apne Nafs aur Khahishat per Amal karega to wo jaan le ke Nafs aur uski khahishaat kabhi khatam hone wali Nahi hai,jis se Bandah Dunya me Zaleel aur Akhirat me Haqeer hokar rah jayega..!!*
Allah hame Haqeeqi Hoshiyari Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like