DUNYA KI MOHLAT AUR MAAHE RAMAZAN

Hazrat Abdullah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Haseer(corpet) per Araam farma kar jab Bedaar huve to aapke Rukhsar e Mubarak per us Haseer ke Nashanat padh gaye the,to humne kaha ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam)Agar Aap Hukm de to Hum aap keliye Ek Narm wa Nazuk Bister ka intezaam kardenge,
to aapne farmaya :
Mai Dunya me ayse Musafir ki tarah hoon,jo Raaste me daurane Safar Aaram keliye kisi Maqam per Aaram karleta hai,aur phir wo Aage badh jata hai,
(Jamiut tirmizy,vol/2,pg/63),
Note : matlab ,,,Dunya ki mohlat sirf ek musafir ke aram karne ke barabar hai,Aur jaise musafir Darakht ke neeche Aram karke Manzil ka rukh karta hai,to Momin ki Manzil “AAKHIRAT” hai,lehaza usko is dunya chod kar Aakhirat ki Manzil ki taraf jana hia,Aur Dunya ko chodna hai,
To Hame is Ramazan me Khoob ibadate karni hai,Nekiya karni hai,aur Ghareebo ko khana Khilana aur Unki Madad karna hai,kyu ke Pata Nahi Agla Ramazan 2021 hame Milega ya Nahi…!!!!Allah hame Ramazan ki Sa’adate,Barkate aur Fazeelate Naseeb kare Aur CoronaVIRUS ki Waba se Saare Aalam kiHifazatfarma..Ameen 
Plz,Share it to All for more visit our islamic website.. : www.anwaarulislam,com.

You might also like