DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 754,Hadees No :2658,*

Hazrat Ayisha Sidiqah (raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Hamare Ghar me Bakri Zubah ki hayi thi,kuch der Baad Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) tashreef laye farmaya ke : Bakri ka kuch Hissah Baaqi hai ? To aapne kahi ke : Bakri ka Sirf Baazu hi Baaqi hai,to aapne farmaya : Baaqi Sara Hissah Baaqi hai,Sivaye Baazu ke.
(Vol/2,Hadees No :2658),
Dars : Yaani aapne Bakri Zubah karne ke Baad Saara Gosht Ghareebo me aur Rishtehdaaro me Taqseem kardi thi sivaye bakri ke baazu ke to aap sallallahualihiwasallam ne isi baat ki khushi ka izhar karte huve aapne farmaya : jo gosht Doosro ko diya gaya hai,wo Akhirat me Nekiyo ki shakal me Baaqi rah gaya hai,lehaza jo Bhi Maal hum khud se ziyadah doosro ki madad me istemal karte hai,to Allah usme Barkat Ata karta hai.
Allah hame Ghairo ka khayal karne wala banaye..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like