DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 753,Hadees No :2657,*

Hazrat Ayisha Sidiqah (raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ka Takya(Pillow) Ayse Chamde(skin) ka tha ke jisme Khajoor ke Darakhto ke patte Bhare huve the.
(Vol/2,Hadees No :2657),
Dars : Subhan Allah ,Qurban jaye Aaqa e Do Jahan sallallahualihiwasallam ki saadgi wali zindagi per ke aap 2 jaha ki Badshahat rakhne ke bawajood Saadgi ko apnaya hai,aur ummat ko bhi usi ki taleem se nawaza hai,
●● Aaj har koi Mahengayi aur Dunyavi Akhrajaat se Pareshan Haal hai,jabke ye Wazeh hai,ke Qiyamat ke qareeb Haar Aane wala Din pahle wale Din se Bura hi hoga,to Hame Chahiye ke Apne Har Kaam me Saadgi ko apnaye to us se Zahni Pareshani bhi door hojayegi aur Apni Zaroorat ko khushi se bhi pura karne me Aasani bhi hogi,
■■ Yaad rahe ke Ye Saadgi ka intekhaab Saare Ummatiyo ke liye hai,Na ke Sirf Ulama wa Huffaz keliye hai,kyu ke Aaj kal ke mahol me yahi Zahno me Baitha huva hai,Jo ke Sahi Nahi hai,
☆☆ Baaz logo se Adaban Guzarish hai,ke Jo Saadgi wale Bandeh hote hai,unki Tareef Na karsake to Kam se kam unki Burayi bhi Na kare kyu ke us se khud ko hi Noqsan hoga…
Allah hame Saadgi wali zindagi Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like