DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 756,Hadees No :2660,*

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jitna Mujhe Allah ke Raasteh me daraya gaya aur Takleef di gayi kisi aur ko utna Nahi azmaya gaya hai,ke Mujhe 30 Ayse Din aur Raat bhi aye the ke Mere aur Bilal(raziyallahuanhu) ke paas khane keliye kuch bhi Nahi tha,bus thodi se cheez hi baaqi thi.
(Vol/2,Hadees No :2660),
Dars : Allah sab se ziyadah unhi Bando ko Azmata hai,jo Allah ke Bohat Qareeb hota hai,lehaza jab Hamare Aaqa e Do jaha sallallahualihiwasallam per itni Azmayishe aayi to aapne un Halaat me bhi Sabr aur Shukr ka daman thaam kar hame usi taleem se nawaza to hame Azmayishi Halaat me Sabr aur shukr se kaam lekar Allah ke aur bhi Qareeb hojana hai,
●● Rizq ke mutalliq bando ko apna Har Amal Allah per chod dena chahiye aur Apni Hikmat se Halal Raasteh ikhtiyar karna chahiye jis se tawakkul per sahi Amal hoga…insha Allah.
Allah hame Tera Mohtaaj bana Dunya walo ke saamne jhukne se mahfooz farma..Ameen ya Rabbi.
Plz.share it to All,for more visit our islamic web site…
www.anwaarulislam,com.

You might also like