DARSE JAMIUT TIRMIZI
*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT,
DAY : 757,Hadees No :2662,*
Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Jab Sahaba e kiram(raziyallahuanhumajmayeen) Bhooke hojate to Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) Sab ko Ek Ek Khajoor diya karte.
(Vol/2,Hadees No :2662),
Dars : Ye Thi Hamare Rasool (sallallahualihiwasallam) aur Sahaba e kiram
(sallallahualihiwasallam) ki Seerat e Tayyibah ke Wo apni Saari Zindagi me Khane pe Nahi balke Deen ki khidmat karne me apni Saari Quvvat laga dete jiska Nateejah aaj wazeh hai,to hame bhi yahi Dars milta hai,ke Bandeh ko Dunya ki Lazzato ko chod kar Deen ki khatir Mashaqqato ko bardasht karke aage badhe to 2 jahan me kamiyabi Naseeb hogi aur Aane wali Naslo ko faidah hoga,
■■ Ye Baat bhi Bade Afsos se kahni padti hai,ke Baaz log Qisam qisam khane banane me hi saara waqt laga dete hai,jo ke Ziyadah faideh ka kaam Nahi hai,
Unhe Chahiye ke kuch Deeni ya islahi kaam kare to behter hoga,
●□ Haan,Jab Allah ne Maal diya hai,to Fuzool kharch ke bajaye islami daire me Khud Acha khana khaye aur Ghareebo ko khilaye to munasib hoga.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.