DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 769,Hadees No :2679,*

Hazrat Abdullah Bin Amr (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum se pahle ke zamaneh me Ek Shaks Umdah Qisam ka Libas pahen kar Nikla aur Wo Bade Takabbur se Chal raha tha,Magar Allah ko Uski Ada Pasand Nahi ayi to Allah me Zameen ko Hukm diya to Zameen usko Apne Ander Dabochli,phir aapne Kaha,ke Wo Qiyamat tak isi tarah Zameen me Dhansta jayega.
(Vol/2,Hadees No :2679),
Dars : Allah ke Paas Sab se Mahboob Amal Ajizi hai,aur Sab se Na Mahboob Amal Takabbur hai,Isi liye jo Allah keliye ajizi ikhtiyar karta hai,aur Dunya walo ke taane baano ko Bardasht karta hai,Allah usko Dunya wa Akhirat me Aala Maqam ata karta hai,aur ye Taana dene wale 2 jahan me Zaleel hokar rahenge..!!!
Ab rahi takabbur ki Baat ke jitne bhi Hakim wa Badsha Guzre hai,unme Aksar mutakbbireen hi me shumar kiye jate hai,lekin unko Aaj bhi Dunya Zalim wa mutakabbir ke Naam se hi yaad karti hai,unka Akhirat me koi Hissah nahi hoga,
Yaad rahe ke Takabbur ka Anjaam ” ZILLAT WA RUSWAYI” hai,
■■ Aaj ye takabbur Ghair Mahsoos Andaz me pahel raha hai,Ke Koi Naye kapde pahenle to Doosro ko Neecha dikhane keliye kaha jata hai,YE WO BRAND etc..hai,iski Qeemat itni hai,isi tarah Koi Gadi(Car,Bike,etc..) khareede to usme Dikhava aur takabbur Alag andaz me,ghar banaye,Jewellary khareede etc
gharz ke har kaam me Baaz log Doosro ko Neecha dikhaye aur takabbur ka izhar kiye baghir cahin nahi lete,jo ke Bohat hi Bura Amal hai,us se Doosre Ghareeb ya Middle Class Aadmi ka Dil toot jata hai,aur usko takleef hoti hai,inke saamne unko izhar na kare,Balke Saadha rahe taake wo Apne aapko Kam tar mahsoos Na kare,yahi Hamare Nabi e Kareem(sallallahualihiwasallam) ka Uswah e Hasanah hai,ke aap 2 jahan ke Khazaneh wa Badshahat rakhne ke ba wajood Ghareebo ke Paas jakar Baitha karte aur unme is tarah ghul mil jate ke Ghairiyat ka ehsaas tak nahi hota..Subhan Allah ye taleemat the hamare Aaqa sallallahualihiwasallam ke,
●● Yaad rahe ke Jab Allah maal Wa Nemate de to uska Izhar Shareeat ke Daireh me rah kar hi karna hai,us se hat kar kare to wo Na Shukri me Shumar hoga.
Allah hame Takabbur se mahfooz rakhe.Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like