DARSE JAMIUT TIRMIZI*

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 783,Hadees No :2693,*

Hazrat Muaz Bin Jabal
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Apne Bhai ko kisi Ayb me Mubtala karega to wo us waqt tak Nahi Marega jab tak ke Khud bhi wo Ayb me Mubtala Na hojaye.
(Vol/2,Hadees No : 2693),
Dars : Kisi Shaks me kisi Qisam ka Ayb hi Na tha lekin Doosra Shaks us pahle Shaks ko kisi Ayb se Ayb Daar karde to Allah usko Wahi Saza dega ke wo bhi us Ayb me Mubtala hoga aur us Ayb ki wajah se Zaleel bhi hoga..!!
●● Koi Na Koi Ayb Har kisi me hota hai,lekin Sab se Achi Baat yahi hoti hai,ke us Ayb ko Sudhara jaye warna usko Chupaya jaye,lekin ziyadah koshish Sudharne ki honi Chahiye to insha Allah kuch to Faidah zaroor hoga,
■■ Baaz logo me Zahiri taur per Paidayish Khaamiya hoti hai,to usko doosro ke Saamne Haqarat ki Nigah se Zahir karna Gunah me shumar hota hai,jaise kisi ka Paidayishi Andha ya Langda etc..hona.
Allah hame Doosro ke Ayb talash karne aur unko Aybdaar karne se mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like