DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 785,Hadees No :2696,*

Hazrat Ibne Umer
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Musalman Logo me rah kar unki Takleefo per Sabr karta hai,wo us Musalman se Behter hai,Jo Logo me bhi Nahi rahta hai,aur Na hi unki Takleefo ko Bardasht karta hai.
(Vol/2,Hadees No :2696),
Dars : Yahi Zindagi Ambiya e kiram ne guzari hai,jisme Logo se raabtah hota hai,aur unko Ache Andaaz me Islam ki Dawat di ja sakti hai,aur unke Saath islahi wa Deeni Moamleh kiye jasakte aur Agar wo Maanle to unke liye Ajr hai,aur Agar Na bhi maane to kahne wale ko to Ajr hoga,
Allah hame Sabr aur sahi moamlah karne wala banaye..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like