DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 787,Hadees No :2698,*

Hazrat Abu Darda
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Sahab e kiram(rizvanullahialihimajmayeen)se farmaya : kiya tumhe mai Rozo, Namaz aur Sadqeh se bhi Ziyadah Afzal darjah wala Amal Na batavu ? To sahaba e kiram ne arz kiya kyu Nahi zaroor bataye Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) to apne farmaya : Do Apas me Juda hone wale logo ko phir se Mila dena,kyu ke ye Apas me Juda hona Deen ko hi khatam kardeta hai.
(Vol/2,Hadees No :2698),
Dars : Deen e islam Mohabbat,Shafaqqat aur Apas me Mil kar rahne ki taleem dene wala mazhab hai,ye apasi Boghz aur Duahmani karne se sakht mana karta hai,isi liye to Deen e islam me Do Apasi Ranjisho se juda hone wale logo ko milane se Namaz,Rozah,aur Sadqah se bhi Ziyadah Fazeelat ka darjah diya gaya hai,kyu us se Bandeh ke Eiman aur Deen ki Hifazat hoti hai,warna Ye Shuru me Chote Andaz me Shuru hokar Baad me Badi Duahmani ikhtiyar karleti hai,phir Gunah e Kabeerah me mubtala karke Saare Deen ko hi khatam kardeti hai,lehaza hame kisi na kisi tareeqeh se ayse bichde Do logo ko miala de to Ye Ajre azeem ke mustahaq ho sakte hai,
■■ Baaz Nawjawan School aur Colleges me Group bhi bana kar ayse kamo me mubtala hojate hai,jiska ke unko Pata hi nahi chalta hai,bus wo dosto ki dosti me Allah ke Ahkaam ki Na farmani me lage rahte hai,jiska Asar unhe Baad me Dunya me Doosre dosto ki dushmani ki soorat me aur Akhirat me Azab ki shakal me zahir hone wala hota hai,to unhe chahiye ke aysi Harkato se door rah kar taleem pe tawajjuh de te Ziyadah faidah hoga,
●● Aur Baaz khawateen bhi ayse kaamo me mubtala rahti hai,unhe bhi is baaz ajaye to behter hai,warna uska bura asar awlaad per bhi padhta hai..!
Allah hame Logo ko milane wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like