DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 801,Hadees No :2716,*

Hazrat Abu Hurairah 
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : 
Jannat ka Har Darakht (Tree) aysa hoga ke uska Tana(Paid ke Upar ka Hissah) Sone (Gold) ka Hoga. 
(Vol/2,Hadees No :2716),
Dars: Dunya ke Har Kone me Agar koi Cheez Duyavi etebar se Qeemti hai,to Wo Sona (Gold) hi hai,aur iski Ahmiyyat Har Ek Paas hai,to usi tarah uska meyaar jannat me ye ke Jannat ke Darakht ke tane bhi Sone ke honge us se Jannat ke Nemato ka Aala tareeqeh se hone ka izhar karna hai,Bando ke zahno ke etebaar se warna Waha ki Nemato ka hum andazah bhi nahi laga sakte hain, ye sab Allah ke Ahkamaat per chalne walo keliye hai. 
Allah hame Nek Amal ki taufeeq ata kare.
Ameen ya Rabbi.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com

You might also like