DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 800,Hadees No :2714,*

Hazrat Abu Hurairah 
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : 
Jannat me Sirf Ek Darakht (Tree) aysa Bada hoga ke Ghode per Sawar Shaks uski Chav(shadow) ko paar karna chahe to usko 100 Saal lag jayenge.
(Vol/2,Hadees No :2714),
Dars : Alhamdulillah aaj se ek New Chapter ka aaghaz mar rahe hain,jisme Jannat ke sifaat wa khoobiya batayi gayi hain,
Jannat ke sifaat Bando ko isliye bataya jata hai, taake Bandah Nek Aamal me Roghbat kare aur apni Akhirat ko sanware,
●● Jannat ke Darakht ki us’ath itni ke sawar uske saayeh ko 100 me paar karta hai,is se Jannat ke Har Nemat ki Usath wa kushadgi ko batana maqsood hai,aur la zawal Nemato ki wazahat hai,ke Dunya me Bandeh jitni Mushkile Islam ki khatir Bardasht kar rahe hain,Uska Ajr Allah Be Hisab wa La zawal Nemato ki shakal me dega.
Allah hame Jannat ki Nemato se Nawaze..Ameen Ya Rabbi..
Plz share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com

You might also like